tawajjoh dete nahin hathon ki lakiron par
tavajjoh dete nahīñ hāthoñ kī lakīroñ par
ki ik buzurg kā saaya hai ham faqīroñ par
vahī buzurg batāte haiñ roz āḳhir-e-shab
koī pukārtā hai ham ko un jazīroñ par
unhīñ jazīroñ pe jā ke paḌhā thā ism koī
vo ism nuur sā chhāyā rahā zamīroñ par
zamīr jaagā to ham par khulā ki vaqt-e-‘azīz
tarah tarah se rahā mehrbāñ asīroñ par
kahāñ nasīb asīroñ ko ye asīrī bhī
ye lutf-e-ḳhās hai hazrat kā ham faqīroñ par
tawajjoh dete nahin hathon ki lakiron par
ki ek buzurg ka saya hai hum faqiron par
wahi buzurg batate hain roz aaKHir-e-shab
koi pukarta hai hum ko un jaziron par
unhin jaziron pe ja ke paDha tha ism koi
wo ism nur sa chhaya raha zamiron par
zamir jaga to hum par khula ki waqt-e-‘aziz
tarah tarah se raha mehrban asiron par
kahan nasib asiron ko ye asiri bhi
ye lutf-e-KHas hai hazrat ka hum faqiron par
- Book : Kitab Gumrah Kar Rahi Hai (Pg. 55)
- Author : Shahram Sarmadi
- Publication : Rekhta Publications (2018)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.