tawajjoh is qadar unki use main dil-lagi samjhun
tawajjoh is qadar unki use main dil-lagi samjhun
Fauziya Akhtar Azka
MORE BYFauziya Akhtar Azka
tavajjoh is qadar un kī use maiñ dil-lagī samjhūñ
ki un kī mehrbānī apnī maiñ ḳhush-qismatī samjhūñ
nazar aatā hai dariyā bhī bayābāñ hijr meñ un ke
jo un kā qurb hāsil ho to sahrā ko nadī samjhūñ
bichhaḌ kar un se jiine kī faqat rasmeñ nibhātī huuñ
jo un ke saath guzrī hai usī ko zindagī samjhūñ
fusūñ hai pyaar kā un ke jo kāñTe phuul lagte haiñ
shab-e-dījūr kī bas maiñ hī husn-o-dilkashī samjhūñ
vo merī āñkhoñ ke paiġhām ko kyoñ paḌh nahīñ paate
bhalā kab tak maiñ un kī be-ruḳhī ko sādgī samjhūñ
rakhūñ sar us ke siine par aur apne ġham bhulā Dālūñ
vo dil kā āshnā hai kyoñ use maiñ ajnabī samjhūñ
na maiñ husn-e-mujassam huuñ na mujh meñ koī ḳhūbī hai
magar un kī nazar se ḳhud ko dekhūñ to parī samjhūñ
ghirī huuñ saḳht mushkil meñ magar huuñ mutma.in 'azkā'
ḳhudā kī maslahat hogī koī is meñ yahī samjhūñ
tawajjoh is qadar un ki use main dil-lagi samjhun
ki un ki mehrbani apni main KHush-qismati samjhun
nazar aata hai dariya bhi bayaban hijr mein un ke
jo un ka qurb hasil ho to sahra ko nadi samjhun
bichhaD kar un se jine ki faqat rasmen nibhati hun
jo un ke sath guzri hai usi ko zindagi samjhun
fusun hai pyar ka un ke jo kanTe phul lagte hain
shab-e-dijur ki bas main hi husn-o-dilkashi samjhun
wo meri aankhon ke paigham ko kyon paDh nahin pate
bhala kab tak main un ki be-ruKHi ko sadgi samjhun
rakhun sar us ke sine par aur apne gham bhula Dalun
wo dil ka aashna hai kyon use main ajnabi samjhun
na main husn-e-mujassam hun na mujh mein koi KHubi hai
magar un ki nazar se KHud ko dekhun to pari samjhun
ghiri hun saKHt mushkil mein magar hun mutmain 'azka'
KHuda ki maslahat hogi koi is mein yahi samjhun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.