tawajjoh kaun karta aur mohabbat kaun karta hai
tavajjoh kaun kartā aur mohabbat kaun kartā hai
na ho taufīq gar terī ibādat kaun kartā hai
lahū se qalb ke palkoñ kī zīnat kaun kartā hai
numā.ish ġham kī ham-rang-e-masarrat kaun kartā hai
ba-juz āshiq ke akkāsī-e-fitrat kaun kartā hai
ayaañ lab se mohabbat kī haqīqat kaun kartā hai
dil-e-sad-chāk ke ā.īne meñ duniyā nazar aa.e
kushāda is qadar āġhosh-e-fitrat kaun kartā hai
agar vo pher leñ muñh jin se ummīdeñ haiñ vābasta
hamāre haal par chashm-e-ināyat kaun kartā hai
na jaane kis jagah is vaqt hai gum-gashta-e-manzil
hamāre qāfile kī ab qayādat kaun kartā hai
vafūr-e-kaif-e-ġham meñ ashk bahnā baat hai fitrī
ḳhud apne ḳhūn-e-dil se aap nafrat kaun kartā hai
hamāre dil ko dard-e-ishq ne masnad banā Daalā
ki dil ke mā-sivā ab is kī izzat kaun kartā hai
tawajjoh kaun karta aur mohabbat kaun karta hai
na ho taufiq gar teri ibaadat kaun karta hai
lahu se qalb ke palkon ki zinat kaun karta hai
numaish gham ki ham-rang-e-masarrat kaun karta hai
ba-juz aashiq ke akkasi-e-fitrat kaun karta hai
ayan lab se mohabbat ki haqiqat kaun karta hai
dil-e-sad-chaak ke aaine mein duniya nazar aae
kushada is qadar aaghosh-e-fitrat kaun karta hai
agar wo pher len munh jin se ummiden hain wabasta
hamare haal par chashm-e-inayat kaun karta hai
na jaane kis jagah is waqt hai gum-gashta-e-manzil
hamare qafile ki ab qayaadat kaun karta hai
wafur-e-kaif-e-gham mein ashk bahna baat hai fitri
KHud apne KHun-e-dil se aap nafrat kaun karta hai
hamare dil ko dard-e-ishq ne masnad bana Dala
ki dil ke ma-siwa ab is ki izzat kaun karta hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.