tawil hijr hai ek muKHtasar visal ke baad
tavīl hijr hai ik muḳhtasar visāl ke ba.ad
meñ aur ho gayā tanhā tire ḳhayāl ke ba.ad
tapish ik aur hai din kī harārtoñ ke sivā
safar ik aur hai sūraj tire zavāl ke ba.ad
kisī se rakhte kahāñ dushmanī kā rishta ham
lahū ko sard bhī honā thā ik ubaal ke ba.ad
jo toḌnā hai to dil is adā se toḌ mirā
koī malāl na ho mujh ko is malāl ke ba.ad
zarā bhī soch na paayā maiñ apne baare meñ
koī ḳhayāl na aayā tire ḳhayāl ke ba.ad
kahāñ ga.ī vo mohabbat ki jis ke saa.e meñ
lipaT ke ro.e the ham donoñ arz-e-hāl ke ba.ad
ye dil kī baat hai saudā-garī nahīñ yaaro
kisī ne kī hai mohabbat bhī dekh-bhāl ke ba.ad
'shakīl' band huā ham pe is kā darvāza
kabhī savāl se pahle kabhī savāl ke ba.ad
tawil hijr hai ek muKHtasar visal ke baad
mein aur ho gaya tanha tere KHayal ke baad
tapish ek aur hai din ki hararton ke siwa
safar ek aur hai suraj tere zawal ke baad
kisi se rakhte kahan dushmani ka rishta hum
lahu ko sard bhi hona tha ek ubaal ke baad
jo toDna hai to dil is ada se toD mera
koi malal na ho mujh ko is malal ke baad
zara bhi soch na paya main apne bare mein
koi KHayal na aaya tere KHayal ke baad
kahan gai wo mohabbat ki jis ke sae mein
lipaT ke roe the hum donon arz-e-haal ke baad
ye dil ki baat hai sauda-gari nahin yaro
kisi ne ki hai mohabbat bhi dekh-bhaal ke baad
'shakil' band hua hum pe is ka darwaza
kabhi sawal se pahle kabhi sawal ke baad
- Book : Dil Parinda Hai (Pg. 40)
- Author :Shakeel Azmi
- Publication : Rekhta Publications (2023)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.