tawil raat ki gahraiyon mein kuchh bhi nahin
tavīl raat kī gahrā.iyoñ meñ kuchh bhī nahīñ
yaqīñ nahīñ to shanāsā.iyoñ meñ kuchh bhī nahīñ
tumhārā hijr agar darmiyāñ se haT jaa.e
ghuTan ko chhoḌ ke tanhā.iyoñ meñ kuchh bhī nahīñ
udāsiyāñ haiñ parinde haiñ peḌ haiñ maiñ huuñ
vo kah rahā thā ke vīrāniyoñ meñ kuchh bhī nahīñ
nikhār tarz-e-bayānī se aa.egā un meñ
suḳhan-farosh tire qāfiyoñ meñ kuchh bhī nahīñ
guloñ kā husn hai phīkā baġhair ḳhushbū ke
binā sukūn ke shādābiyoñ meñ kuchh bhī nahīñ
tawil raat ki gahraiyon mein kuchh bhi nahin
yaqin nahin to shanasaiyon mein kuchh bhi nahin
tumhaara hijr agar darmiyan se haT jae
ghuTan ko chhoD ke tanhaiyon mein kuchh bhi nahin
udasiyan hain parinde hain peD hain main hun
wo kah raha tha ke viraniyon mein kuchh bhi nahin
nikhaar tarz-e-bayani se aaega un mein
suKHan-farosh tere qafiyon mein kuchh bhi nahin
gulon ka husn hai phika baghair KHushbu ke
bina sukun ke shadabiyon mein kuchh bhi nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.