tawil soch hai aur muKHtasar lahu mera
tavīl soch hai aur muḳhtasar lahū merā
garāñ safar meñ hai zād-e-safar lahū merā
vo raunaqeñ bhī ga.iiñ us ke ḳhushk hote hī
sajātā rahtā thā dīvār-o-dar lahū merā
har ek lamha mujhe zindagī ne qatl kiyā
tamām umr rahā mere sar lahū merā
dayār-e-ġhair ko mahkā gayā hinā ban kar
ye vāqi.a hai rahā be-hunar lahū merā
vo ruuh thī jise ahd-e-vafā kā paas na thā
kabhī na chhoḌ sakā apnā ghar lahū merā
ujaal deñge añdheroñ kī ye jabīñ ik din
bikhertā hai kuchh aise sharar lahū merā
ravāñ hai qāfila-e-fikr sū-e-dasht-e-junūñ
dikhā rahā hai use rahguzar lahū merā
ravānī likhtī rahī jin kā naam aaTh pahar
vahīñ bahāyā gayā ḳhaak par lahū merā
na jaane kaun sī rut aa ga.ī 'umīd' ab ke
chhupā na paa.ī mirī chashm-e-tar lahū merā
tawil soch hai aur muKHtasar lahu mera
garan safar mein hai zad-e-safar lahu mera
wo raunaqen bhi gain us ke KHushk hote hi
sajata rahta tha diwar-o-dar lahu mera
har ek lamha mujhe zindagi ne qatl kiya
tamam umr raha mere sar lahu mera
dayar-e-ghair ko mahka gaya hina ban kar
ye waqia hai raha be-hunar lahu mera
wo ruh thi jise ahd-e-wafa ka pas na tha
kabhi na chhoD saka apna ghar lahu mera
ujal denge andheron ki ye jabin ek din
bikherta hai kuchh aise sharar lahu mera
rawan hai qafila-e-fikr su-e-dasht-e-junun
dikha raha hai use rahguzar lahu mera
rawani likhti rahi jin ka nam aaTh pahar
wahin bahaya gaya KHak par lahu mera
na jaane kaun si rut aa gai 'umid' ab ke
chhupa na pai meri chashm-e-tar lahu mera
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.