tayyar hun jis shaKHs par sansen luTane ke liye
tayyar hun jis shaKHs par sansen luTane ke liye
Raghvendra Dwivedi
MORE BYRaghvendra Dwivedi
tayyār huuñ jis shaḳhs par sāñseñ luTāne ke liye
vo chal rahā hai chaal mujh ko āzmāne ke liye
rishte banāne se kabhī chalte nahīñ haiñ umr-bhar
ādāb aane chāhiyeñ rishta nibhāne ke liye
maiñ vo nahīñ jis ko milī hai raushnī ḳhairāt meñ
mujh ko bahut jalnā paḌā hai jagmagāne ke liye
āsān hai sar ko jhukā denā kisī darbār meñ
lekin kaleja chāhiye sar ko uThāne ke liye
kuchh tai nahīñ hai zindagī meñ vaqt rone kā magar
ma.aqūl hai har ek lamha muskurāne ke liye
tayyar hun jis shaKHs par sansen luTane ke liye
wo chal raha hai chaal mujh ko aazmane ke liye
rishte banane se kabhi chalte nahin hain umr-bhar
aadab aane chahiyen rishta nibhane ke liye
main wo nahin jis ko mili hai raushni KHairaat mein
mujh ko bahut jalna paDa hai jagmagane ke liye
aasan hai sar ko jhuka dena kisi darbar mein
lekin kaleja chahiye sar ko uThane ke liye
kuchh tai nahin hai zindagi mein waqt rone ka magar
maqul hai har ek lamha muskurane ke liye
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.