tazkira itna mera uske fasane mein hua
tazkira itnā mirā us ke fasāne meñ huā
maiñ junūñ ke naam par rusvā zamāne meñ huā
mujh ko duniyā ne miTāne meñ na kuchh tāḳhīr kī
kis qayāmat kā tasāhul tere aane meñ huā
aaj tak haiñ zindagī kī kirchiyāñ bikhrī huiiñ
ik zarā sā vāqi.a ā.īna-ḳhāne meñ huā
ab bhī us ko yaad aatā hai to mar jaatā hai vo
us kā jo lamha basar mere bhulāne meñ huā
saarī duniyā ke liye merā havāla ban ga.e
fā.eda kyā aap ko mere miTāne meñ huā
dosto zaitūn kī shāḳheñ liye phirtā huuñ maiñ
tajraba mujh ko yahī to zaḳhm khāne meñ huā
zindagī-bhar us se mil baiThe na 'ja.afar' baat kī
aur qissa ḳhatm yūñhī āne-jāne meñ huā
tazkira itna mera us ke fasane mein hua
main junun ke nam par ruswa zamane mein hua
mujh ko duniya ne miTane mein na kuchh taKHir ki
kis qayamat ka tasahul tere aane mein hua
aaj tak hain zindagi ki kirchiyan bikhri huin
ek zara sa waqia aaina-KHane mein hua
ab bhi us ko yaad aata hai to mar jata hai wo
us ka jo lamha basar mere bhulane mein hua
sari duniya ke liye mera hawala ban gae
faeda kya aap ko mere miTane mein hua
dosto zaitun ki shaKHen liye phirta hun main
tajraba mujh ko yahi to zaKHm khane mein hua
zindagi-bhar us se mil baiThe na 'jafar' baat ki
aur qissa KHatm yunhi aane-jaane mein hua
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.