tazkire aish ke KHamosh fughan tak pahunche
Interesting Fact
(Tarahi Mushaira, Bazm-e-Safi, Panch Muhalla)
tazkire aish ke ḳhāmosh fuġhāñ tak pahuñche
dekhte dekhte hālāt kahāñ tak pahuñche
jaane kab un kī nazar dard-e-nihāñ tak pahuñche
dil meñ Duube the jo nashtar rag-e-jāñ tak pahuñche
vaqt ne kar diye kuchh fāsle itne paidā
pyaar ke giit bhī mushkil se zabāñ tak pahuñche
vo to hone ko rag-e-jāñ se qarīñ haiñ lekin
aadmī pahle maqām-e-rag-e-jāñ tak pahuñche
ham to begāna-e-manzil haiñ hamārā kyā hai
jin kī nazroñ meñ thī manzil vo kahāñ tak pahuñche
aam kyā ho sakīñ bāteñ tire dīvānoñ kī
kaun pahuñche hue logoñ kī zabāñ tak pahuñche
ik tasavvur se tire raushnī mil jaatī hai
varna ab ġham ke añdhere dil-o-jāñ tak pahuñche
sab mire hāl-e-pareshāñ pe nazar rakhte haiñ
dekhtā kaun hai hālāt kahāñ tak pahuñche
zindagī kitnī hai ḳhushiyoñ kī guloñ se pūchho
ik tabassum meñ bahāroñ se ḳhizāñ tak pahuñche
tere tevar se bhī tujh tak hai pahuñchnā mushkil
kyā huā log jo nazroñ kī zabāñ tak pahuñche
'shauq' yuuñ hī nahīñ vahshat hameñ aap apne se
marhale tai hue kitne to yahāñ tak pahuñche
tazkire aish ke KHamosh fughan tak pahunche
dekhte dekhte haalat kahan tak pahunche
jaane kab un ki nazar dard-e-nihan tak pahunche
dil mein Dube the jo nashtar rag-e-jaan tak pahunche
waqt ne kar diye kuchh fasle itne paida
pyar ke git bhi mushkil se zaban tak pahunche
wo to hone ko rag-e-jaan se qarin hain lekin
aadmi pahle maqam-e-rag-e-jaan tak pahunche
hum to begana-e-manzil hain hamara kya hai
jin ki nazron mein thi manzil wo kahan tak pahunche
aam kya ho sakin baaten tere diwanon ki
kaun pahunche hue logon ki zaban tak pahunche
ek tasawwur se tere raushni mil jati hai
warna ab gham ke andhere dil-o-jaan tak pahunche
sab mere haal-e-pareshan pe nazar rakhte hain
dekhta kaun hai haalat kahan tak pahunche
zindagi kitni hai KHushiyon ki gulon se puchho
ek tabassum mein bahaaron se KHizan tak pahunche
tere tewar se bhi tujh tak hai pahunchna mushkil
kya hua log jo nazron ki zaban tak pahunche
'shauq' yun hi nahin wahshat hamein aap apne se
marhale tai hue kitne to yahan tak pahunche
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.