tera aanchal nahin hota hai
terā āñchal nahīñ hotā hai
abr bādal nahīñ hotā hai
bārisheñ to bahut hotī haiñ
dasht jal-thal nahīñ hotā hai
mustaqil hai ye kaisī kamī
kuchh mukammal nahīñ hotā hai
zindagī jab talak rahtī hai
mas.ala hal nahīñ hotā hai
sirf us ke shajar hote haiñ
sabr kā phal nahīñ hotā hai
ek jañgal nazar aane se
shahr jañgal nahīñ hotā hai
us ko tafsīl se paḌhtā huuñ
jo mufassal nahīñ hotā hai
baat karte haiñ sadiyoñ kī ham
paas ik pal nahīñ hotā hai
tera aanchal nahin hota hai
abr baadal nahin hota hai
barishen to bahut hoti hain
dasht jal-thal nahin hota hai
mustaqil hai ye kaisi kami
kuchh mukammal nahin hota hai
zindagi jab talak rahti hai
masala hal nahin hota hai
sirf us ke shajar hote hain
sabr ka phal nahin hota hai
ek jangal nazar aane se
shahr jangal nahin hota hai
us ko tafsil se paDhta hun
jo mufassal nahin hota hai
baat karte hain sadiyon ki hum
pas ek pal nahin hota hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.