tera ehsas-e-KHudi hoga na jab tak bedar
terā ehsās-e-ḳhudī hogā na jab tak bedār
ġhair mumkin hai khuleñ tujh pe azal ke asrār
ḳhud mashiyyat tirī ek ek adā par ho nisār
apnī sūrat kā mayassar jo tujhe ho dīdār
kitne jalve tujhe labbaik kaheñge nādāñ
chiir kar dekh zarā sīna-e-hastī ik baar
apnī quvvat se tū vāqif hī nahīñ hai varna
arsh se bhī kahīñ ūñchā hai tirā izz-o-vaqār
maut sab jis ko samajhte haiñ zamāne vaale
tere pairāhan-e-hastī kā hai dhuñdlā sā ġhubār
sab tire zer-e-nagīñ haiñ falak-o-māh-o-nujūm
terī gardish pe hai har ek kī gardish kā madār
phūñk de ḳhār-o-ḳhas-e-ālam-e-zāhir pahle
ḳhud nazar aa.egā har shai meñ ruḳh-e-pur-anvār
husn-e-sad-rañg se vo kaif-e-nazar hāsil kar
jis se ho jaa.eñ dil-o-rūh abad tak sarshār
ik ravish bhī na guzargāh-e-ḳhizāñ ho jis kī
tujh se mumkin ho to paidā kar ik aisī bhī bahār
sar-e-amvāj-e-havādis ko samajhne vaale
kār-e-āsāñ ko banā lete haiñ kār-e-dushvār
laakh sāmān hoñ ishrat ke muhayyā lekin
dil sī shai ke liye duniyā meñ sukūñ hai na qarār
zindagī bhar jinheñ kahtī rahī duniyā kāfir
ab zamāne meñ kahāñ 'ārzū' aise dīñ-dār
tera ehsas-e-KHudi hoga na jab tak bedar
ghair mumkin hai khulen tujh pe azal ke asrar
KHud mashiyyat teri ek ek ada par ho nisar
apni surat ka mayassar jo tujhe ho didar
kitne jalwe tujhe labbaik kahenge nadan
chir kar dekh zara sina-e-hasti ek bar
apni quwwat se tu waqif hi nahin hai warna
arsh se bhi kahin uncha hai tera izz-o-waqar
maut sab jis ko samajhte hain zamane wale
tere pairahan-e-hasti ka hai dhundla sa ghubar
sab tere zer-e-nagin hain falak-o-mah-o-nujum
teri gardish pe hai har ek ki gardish ka madar
phunk de KHar-o-KHas-e-alam-e-zahir pahle
KHud nazar aaega har shai mein ruKH-e-pur-anwar
husn-e-sad-rang se wo kaif-e-nazar hasil kar
jis se ho jaen dil-o-ruh abad tak sarshaar
ek rawish bhi na guzargah-e-KHizan ho jis ki
tujh se mumkin ho to paida kar ek aisi bhi bahaar
sar-e-amwaj-e-hawadis ko samajhne wale
kar-e-asan ko bana lete hain kar-e-dushwar
lakh saman hon ishrat ke muhayya lekin
dil si shai ke liye duniya mein sukun hai na qarar
zindagi bhar jinhen kahti rahi duniya kafir
ab zamane mein kahan 'arzu' aise din-dar
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.