tera hi zikr harsu tera hi bayan mile
terā hī zikr harsū tirā hī bayāñ mile
kholūñ koī kitāb terī dāstāñ mile
duniyā ke shor-o-shar se bahut tañg aa ga.e
mumkin hai ab tirī hī galī amaañ mile
paidā to kar bulandiyāñ apne ḳhayāl meñ
shāyad usī zamīñ pe tujhe āsmāñ mile
bas ek baar us se mulāqāt kyā huī
tā-umr apne aap ko phir ham mile
mahsūs tere qadmoñ kī ho āhaTeñ jahāñ
un rāstoñ pe bikhrī huī kahkashāñ mile
DhūñD to tū kahīñ bhī dikhā.ī na de mujhe
dekhūñ to zarre zarre meñ tū hī nihāñ mile
vo bad-nasīb hai jo bhaTakte hai dar-ba-dar
vo ḳhush-nasīb jin ko terā āstāñ mile
tera hi zikr harsu tera hi bayan mile
kholun koi kitab teri dastan mile
duniya ke shor-o-shar se bahut tang aa gae
mumkin hai ab teri hi gali aman mile
paida to kar bulandiyan apne KHayal mein
shayad usi zamin pe tujhe aasman mile
bas ek bar us se mulaqat kya hui
ta-umr apne aap ko phir hum mile
mahsus tere qadmon ki ho aahaTen jahan
un raston pe bikhri hui kahkashan mile
DhunD to tu kahin bhi dikhai na de mujhe
dekhun to zarre zarre mein tu hi nihan mile
wo bad-nasib hai jo bhaTakte hai dar-ba-dar
wo KHush-nasib jin ko tera aastan mile
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.