tera husn-o-jamal likhta hun
terā husn-o-jamāl likhtā huuñ
'ishq kā 'arz-e-hāl likhtā huuñ
merā apnā nahīñ hai kuchh bhī yahāñ
maiñ kisī ke ḳhayāl likhtā huuñ
maut ko apnī taaq par rakh kar
ḳhud maiñ apnī majāl likhtā huuñ
us qayāmat se fursateñ le kar
is qayāmat kā haal likhtā huuñ
ḳhush-ḳhirāmī se muñh chhupā kar maiñ
dard-o-zār-o-vabāl likhtā huuñ
raushnā.ī hai raushnī mujh ko
surḳh rang-e-gulāl likhtā huuñ
vo hai ik but ḳhamosh rahtā hai
maiñ huuñ saa.il savāl likhtā huuñ
ek puurī ġhazal likhī lekin
ik adhūrā malāl likhtā huuñ
yuuñ to likhtā nahīñ huuñ maiñ aksar
likh diyā to kamāl likhtā huuñ
log sunte nahīñ haiñ jab mujh ko
tab maiñ jā kar 'ḳhayāl' likhtā huuñ
tera husn-o-jamal likhta hun
'ishq ka 'arz-e-haal likhta hun
mera apna nahin hai kuchh bhi yahan
main kisi ke KHayal likhta hun
maut ko apni taq par rakh kar
KHud main apni majal likhta hun
us qayamat se fursaten le kar
is qayamat ka haal likhta hun
KHush-KHirami se munh chhupa kar main
dard-o-zar-o-wabaal likhta hun
raushnai hai raushni mujh ko
surKH rang-e-gulal likhta hun
wo hai ek but KHamosh rahta hai
main hun sail sawal likhta hun
ek puri ghazal likhi lekin
ek adhura malal likhta hun
yun to likhta nahin hun main aksar
likh diya to kamal likhta hun
log sunte nahin hain jab mujh ko
tab main ja kar 'KHayal' likhta hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.