tera KHayal tha ki yunhi bad-guman the
terā ḳhayāl thā ki yūñhī bad-gumān the
apne bhī kuchh usuul magar darmiyān the
shāḳheñ har ek raat yūñhī chīḳhtī rahīñ
vo phuul hī bike the jo zeb-e-dukān the
us ne azal se bhīñch ke rakkhī thī muTThiyāñ
hāthoñ kī har lakīr ke ham tarjumān the
sochoñ kī mauj mauj bahā le ga.ī unheñ
sāñsoñ kī garm ret pe jin ke makān the
poras ke hāthiyoñ ke sabhī gol kaT ga.e
jazbe mire ḳhulūs ke raushan chaTān the
jaane vo chor aa ke kidhar muḌ gayā 'bahār'
dahlīz tak to paañv ke vāzeh nishān the
tera KHayal tha ki yunhi bad-guman the
apne bhi kuchh usul magar darmiyan the
shaKHen har ek raat yunhi chiKHti rahin
wo phul hi bike the jo zeb-e-dukan the
us ne azal se bhinch ke rakkhi thi muTThiyan
hathon ki har lakir ke hum tarjuman the
sochon ki mauj mauj baha le gai unhen
sanson ki garm ret pe jin ke makan the
poras ke hathiyon ke sabhi gol kaT gae
jazbe mere KHulus ke raushan chaTan the
jaane wo chor aa ke kidhar muD gaya 'bahaar'
dahliz tak to panw ke wazeh nishan the
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.