tera munh gardish-e-ayyam kahan tak dekhun
terā muñh gardish-e-ayyām kahāñ tak dekhūñ
ye bhayānak sahar-o-shām kahāñ tak dekhūñ
jazba-e-ishq ko nākām kahāñ tak dekhūñ
sitam-e-gardish-e-ayyām kahāñ tak dekhūñ
ishq kā sheva-e-ḳhud-kām kahāñ tak dekhūñ
ye tilism-e-sahr-o-shām kahāñ tak dekhūñ
husn ko larza-bar-andām kahāñ tak dekhūñ
ishq-o-yaksāniyat-e-ām kahāñ tak dekhūñ
o jafā-kesh jafāoñ se hazar lāzim hai
tujh ko yuuñ morid-e-ilzām kahāñ tak dekhūñ
harf aatā hai tirī shān-e-karam par saaqī
apne hāthoñ ko tahī-jām kahāñ tak dekhūñ
be-niyāzī pe tujhe naaz bajā hai lekin
lab pe aa.e na mirā naam kahāñ tak dekhūñ
ek jur.a to mujhe bhī tire mai-ḳhāne kī
duur se daur-e-mai-o-jām kahāñ tak dekhūñ
ab na vo dil hai na vo dil kī umañgeñ baaqī
aur ab ishq kā anjām kahāñ tak dekhūñ
be-ruḳhī aap kī mere dil-e-majbūr kā sabr
kaun aatā hai mire kaam kahāñ tak dekhūñ
said to said hai sayyād bhī phañs jaatā hai
tū na aa.egā tah-e-dām kahāñ tak dekhūñ
ek hī dar pe tirī umr kaTī ai 'sābir'
yuuñ mujhe banda-e-be-dām kahāñ tak dekhūñ
tera munh gardish-e-ayyam kahan tak dekhun
ye bhayanak sahar-o-sham kahan tak dekhun
jazba-e-ishq ko nakaam kahan tak dekhun
sitam-e-gardish-e-ayyam kahan tak dekhun
ishq ka shewa-e-KHud-kaam kahan tak dekhun
ye tilism-e-sahr-o-sham kahan tak dekhun
husn ko larza-bar-andam kahan tak dekhun
ishq-o-yaksaniyat-e-am kahan tak dekhun
o jafa-kesh jafaon se hazar lazim hai
tujh ko yun morid-e-ilzam kahan tak dekhun
harf aata hai teri shan-e-karam par saqi
apne hathon ko tahi-jam kahan tak dekhun
be-niyazi pe tujhe naz baja hai lekin
lab pe aae na mera nam kahan tak dekhun
ek jura to mujhe bhi tere mai-KHane ki
dur se daur-e-mai-o-jam kahan tak dekhun
ab na wo dil hai na wo dil ki umangen baqi
aur ab ishq ka anjam kahan tak dekhun
be-ruKHi aap ki mere dil-e-majbur ka sabr
kaun aata hai mere kaam kahan tak dekhun
said to said hai sayyaad bhi phans jata hai
tu na aaega tah-e-dam kahan tak dekhun
ek hi dar pe teri umr kaTi ai 'sabir'
yun mujhe banda-e-be-dam kahan tak dekhun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.