tera sitam jo mujhse gada ne saha saha
terā sitam jo mujh se gadā ne sahā sahā
tū bādshah hai jo mujhe tū ne kahā kahā
dāman tere se lag luuñ agar de razā mujhe
ye nā-tavāñ ġhubār agar yaañ rahā rahā
rakh āstīñ shitāb mirī chashm-e-tar pe jaañ
varna phire hai sail meñ aalam bahā bahā
nikle hai laala ḳhaak ke nīche se surḳh surḳh
rañgīñ huā shahīdoñ ke ḳhuuñ meñ nahā nahā
ab jī ke Dar se us ko 'bayāñ' tū na chhoḌiyo
haiñ mard ve ki baañh ko jis kī gahā gahā
tera sitam jo mujh se gada ne saha saha
tu baadshah hai jo mujhe tu ne kaha kaha
daman tere se lag lun agar de raza mujhe
ye na-tawan ghubar agar yan raha raha
rakh aastin shitab meri chashm-e-tar pe jaan
warna phire hai sail mein aalam baha baha
nikle hai lala KHak ke niche se surKH surKH
rangin hua shahidon ke KHun mein naha naha
ab ji ke Dar se us ko 'bayan' tu na chhoDiyo
hain mard we ki banh ko jis ki gaha gaha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.