tera ye husn-e-be-karan muqayyad zaman hai
tera ye husn-e-be-karan muqayyad zaman hai
Syed Tamjeed Haider Tamjeed
MORE BYSyed Tamjeed Haider Tamjeed
terā ye husn-e-be-karāñ muqayyad zamān hai
magar tujhe ai zindagī kahāñ koī gumān hai
nishān kho gayā meñ apne aap apne aap kā
jahāñ koī ho be-nishāñ vahīñ merā nishān hai
na dekh ai is is tarāsh-tīr ko
zarā ye dekh aa ki kis ke haath meñ kamān hai
ye dāvat-e-jihād be-mahal nahīñ hai ai zamīñ
kisī faqīr be-hunar kā āḳhirī bayān hai
maiñ rahrav-e-sirāt-e-rāhzan thā thoḌī der ko
samajh rahā thā maiñ merī na aañkh hai na kaan hai
merī navā-e-aman be-navā nahīñ hai ai falak
abhī bhī jism-e-nā-tavāñ meñ bolne kī jaan hai
safoñ meñ sāma.īn ke jo to bhī aa gayā to sun
terī bisāt-e-justujū kā aaj imtihān hai
tera ye husn-e-be-karan muqayyad zaman hai
magar tujhe ai zindagi kahan koi guman hai
nishan kho gaya mein apne aap apne aap ka
jahan koi ho be-nishan wahin mera nishan hai
na dekh ai is is tarash-tir ko
zara ye dekh aa ki kis ke hath mein kaman hai
ye dawat-e-jihad be-mahal nahin hai ai zamin
kisi faqir be-hunar ka aaKHiri bayan hai
main rahraw-e-siraat-e-rahzan tha thoDi der ko
samajh raha tha main meri na aankh hai na kan hai
meri nawa-e-aman be-nawa nahin hai ai falak
abhi bhi jism-e-na-tawan mein bolne ki jaan hai
safon mein samain ke jo to bhi aa gaya to sun
teri bisat-e-justuju ka aaj imtihan hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.