tere andaz-o-naz mein kya hai
tere andāz-o-nāz meñ kyā hai
lutf rāz-o-niyāz meñ kyā hai
sajda karte haiñ ham bhī but ko aur
shaiḳh sāhib namāz meñ kyā hai
us ko manhūs kahte haiñ kyoñ log
charḳh-e-gardūñ-farāz meñ kyā hai
saare rindoñ se vo nirālī baat
zāhid-e-pāk-bāz meñ kyā hai
ham se pūchho tum us ko kyā jaano
lutf soz-o-gudāz meñ kyā hai
kuchh na samjhe ye rah-ravān-e-adam
is nasheb-o-farāz meñ kyā hai
but-parastoñ kā ek jamghaT hai
is se baḌh kar hijāz meñ kyā hai
mai to ik manfa.at kī chiiz hai shaiḳh
uzr is ke javāz meñ kyā hai
hai haqīqat meñ kaun sā vo lutf
aur zāhid majāz meñ kyā hai
tum to kahte the dil meñ kyā jānūñ
aur ye zulf-e-darāz meñ kyā hai
charḳh se pūchho to 'fahīm' tire
ab dil-e-kīna-sāz meñ kyā hai
tere andaz-o-naz mein kya hai
lutf raaz-o-niyaz mein kya hai
sajda karte hain hum bhi but ko aur
shaiKH sahib namaz mein kya hai
us ko manhus kahte hain kyon log
charKH-e-gardun-faraaz mein kya hai
sare rindon se wo nirali baat
zahid-e-pak-baz mein kya hai
hum se puchho tum us ko kya jaano
lutf soz-o-gudaz mein kya hai
kuchh na samjhe ye rah-rawan-e-adam
is nasheb-o-faraaz mein kya hai
but-paraston ka ek jamghaT hai
is se baDh kar hijaz mein kya hai
mai to ek manfat ki chiz hai shaiKH
uzr is ke jawaz mein kya hai
hai haqiqat mein kaun sa wo lutf
aur zahid majaz mein kya hai
tum to kahte the dil mein kya jaanun
aur ye zulf-e-daraaz mein kya hai
charKH se puchho to 'fahim' tere
ab dil-e-kina-saz mein kya hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.