Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

tere badan ke lams ka manzar bikhar gaya

Shamim Danish

tere badan ke lams ka manzar bikhar gaya

Shamim Danish

MORE BYShamim Danish

    tere badan ke lams manzar bikhar gayā

    TuuTī jo niiñd ḳhvāb paikar bikhar gayā

    tere baġhair na sakā dhaḌkanoñ taab

    vo dil jo TuuT kar mire andar bikhar gayā

    us paikar-e-jamāl ne Daale the sirf paañv

    dariyā meñ raushnī samundar bikhar gayā

    āñdhī tirā ġhurūr to qaa.em rahā magar

    chiḌiyoñ ik jahān zamīñ par bikhar gayā

    yuuñ muntashir huā hai mirī zindagī ḳhvāb

    jaise mire vajūd mehvar bikhar gayā

    aisā lagā ki saarā jahāñ jiit legā vo

    aa.ī jo dhuup mom lashkar bikhar gayā

    tere badan ke lams ka manzar bikhar gaya

    TuTi jo nind KHwab ka paikar bikhar gaya

    tere baghair la na saka dhaDkanon ki tab

    wo dil jo TuT kar mere andar bikhar gaya

    us paikar-e-jamal ne Dale the sirf panw

    dariya mein raushni ka samundar bikhar gaya

    aandhi tera ghurur to qaem raha magar

    chiDiyon ka ek jahan zamin par bikhar gaya

    yun muntashir hua hai meri zindagi ka KHwab

    jaise mere wajud ka mehwar bikhar gaya

    aisa laga ki sara jahan jit lega wo

    aai jo dhup mom ka lashkar bikhar gaya

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now