tere baghair koi gawara nahin kiya
tere baġhair koī gavāra nahīñ kiyā
ham ne kisī se 'ishq dubāra nahīñ kiyā
sūraj ko mere naam kī parchhā.ī khā ga.ī
maiñ ne diyā jalā ke guzārā nahīñ kiyā
thā lauTne kī soch meñ hī haar kā sabab
kashtī jalā ke tum ne kināra nahīñ kiyā
maiñ Dūbtā rahā huuñ safīnoñ ke ās-pās
lekin kisī bhī samt ishāra nahīñ kiyā
tere baghair koi gawara nahin kiya
hum ne kisi se 'ishq dubara nahin kiya
suraj ko mere nam ki parchhai kha gai
main ne diya jala ke guzara nahin kiya
tha lauTne ki soch mein hi haar ka sabab
kashti jala ke tum ne kinara nahin kiya
main Dubta raha hun safinon ke aas-pas
lekin kisi bhi samt ishaara nahin kiya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.