tere darbar mein paDe hue hain
tere darbār meñ paḌe hue haiñ
lafz be-kār meñ paḌe hue haiñ
muflisī khā ga.ī makīnoñ ko
ranj ghar-bār meñ paḌe hue haiñ
un ko duniyā-jahāñ se kyā matlab
jo tire pyaar meñ paḌe hue haiñ
hai mohabbat ko 'umr thoḌī aur
log takrār meñ paḌe hue haiñ
jin ko dekhā thā qasr-e-shāhī meñ
aaj bāzār meñ paḌe hue haiñ
ham ne āñkhoñ se kah diyā sab kuchh
aap iz.hār meñ paḌe hue haiñ
rif'atoñ ke jo raaz haiñ saare
taḳhta-e-dār meñ paḌe hue haiñ
bādshāhī hai merī Thokar par
taaj inkār meñ paḌe hue haiñ
log ḳhushiyāñ manā.eñ apnoñ meñ
ham ki āzār meñ paḌe hue haiñ
ham ne me'yār she'r ko baḳhshā
log miqdār meñ paḌe hue haiñ
saat sur saaz naġhmagī 'ambar'
terī guftār meñ paḌe hue haiñ
tere darbar mein paDe hue hain
lafz be-kar mein paDe hue hain
muflisi kha gai makinon ko
ranj ghar-bar mein paDe hue hain
un ko duniya-jahan se kya matlab
jo tere pyar mein paDe hue hain
hai mohabbat ko 'umr thoDi aur
log takrar mein paDe hue hain
jin ko dekha tha qasr-e-shahi mein
aaj bazar mein paDe hue hain
hum ne aankhon se kah diya sab kuchh
aap izhaar mein paDe hue hain
rif'aton ke jo raaz hain sare
taKHta-e-dar mein paDe hue hain
baadshahi hai meri Thokar par
taj inkar mein paDe hue hain
log KHushiyan manaen apnon mein
hum ki aazar mein paDe hue hain
hum ne me'yar she'r ko baKHsha
log miqdar mein paDe hue hain
sat sur saz naghmagi 'ambar'
teri guftar mein paDe hue hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.