tere diwane ka hosh mein aana Thik nahin
tere dīvāne kā hosh meñ aanā Thiik nahīñ
log vagarna samjheñge mai-ḳhāna Thiik nahīñ
aañkh milāo ḳhvāb se lekin itnā yaad rahe
ik patthar kā shīshe se Takrānā Thiik nahīñ
sar meñ saudā hai saudā.ī dasht kī had meñ rah
is hālat meñ shahr kī jānib jaanā Thiik nahīñ
dīvāroñ kā khiḌkī se yārāna hotā hai
in ko apne dil kī baat batānā Thiik nahīñ
is ko halke bhārī kā bhī farq nahīñ ma.alūm
paimāne ko Thiik karo paimāna Thiik nahīñ
ab to mushkil mushkil meñ hī Daale rakkhegī
kahtā thā naañ mushkil meñ ghabrānā Thiik nahīñ
'arshad' aaj vo puurī tayyārī se aa.egā
dekho aaj tumhārā bāhar jaanā Thiik nahīñ
tere diwane ka hosh mein aana Thik nahin
log wagarna samjhenge mai-KHana Thik nahin
aankh milao KHwab se lekin itna yaad rahe
ek patthar ka shishe se Takrana Thik nahin
sar mein sauda hai saudai dasht ki had mein rah
is haalat mein shahr ki jaanib jaana Thik nahin
diwaron ka khiDki se yarana hota hai
in ko apne dil ki baat batana Thik nahin
is ko halke bhaari ka bhi farq nahin malum
paimane ko Thik karo paimana Thik nahin
ab to mushkil mushkil mein hi Dale rakkhegi
kahta tha nan mushkil mein ghabrana Thik nahin
'arshad' aaj wo puri tayyari se aaega
dekho aaj tumhaara bahar jaana Thik nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.