tere diwane ko is tarh sataya gaya hai
tere dīvāne ko is tarh satāyā gayā hai
terī āvāz meñ ab us ko bulāyā gayā hai
merī tasvīr ko dekhā to kahā logoñ ne
yaar is ko to zabardastī hañsāyā gayā hai
kun kī māchis se jalāyā gayā thā ek diyā
vo diyā toḌ ke sūraj ko banāyā gayā hai
hākim-e-vaqt kī ye baat maiñ samjhā hī nahīñ
ā.ina-ḳhāne meñ kyoñ andhoñ ko laayā gayā hai
dil-mohalle meñ mujhe 'ishq kī dā'vat meñ miyāñ
ġham khilāyā gayā hai ashk pilāyā gayā hai
ab to mafhūm churā kar hī ġhazal kī ga.ī hai
yā'nī paanī meñ bahut duudh milāyā gayā hai
dekh dushman ne batāyā hai to sach hogā 'bilāl'
mere baare meñ tujhe jo bhī batāyā gayā hai
tere diwane ko is tarh sataya gaya hai
teri aawaz mein ab us ko bulaya gaya hai
meri taswir ko dekha to kaha logon ne
yar is ko to zabardasti hansaya gaya hai
kun ki machis se jalaya gaya tha ek diya
wo diya toD ke suraj ko banaya gaya hai
hakim-e-waqt ki ye baat main samjha hi nahin
aaina-KHane mein kyon andhon ko laya gaya hai
dil-mohalle mein mujhe 'ishq ki da'wat mein miyan
gham khilaya gaya hai ashk pilaya gaya hai
ab to mafhum chura kar hi ghazal ki gai hai
ya'ni pani mein bahut dudh milaya gaya hai
dekh dushman ne bataya hai to sach hoga 'bilal'
mere bare mein tujhe jo bhi bataya gaya hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.