tere diwane yahi kaam liye phirte hain
tere dīvāne yahī kaam liye phirte haiñ
apne mahbūb kā paiġhām liye phirte haiñ
tere āshiq tire gulfām liye phirte haiñ
apne hoñToñ pe tirā naam liye phirte haiñ
un kī tasvīr kī kyā ham ko zarūrat yaaro
jin ko siine meñ har ik shaam liye phirte haiñ
apne hāthoñ se pilā.eñge sunā hai jab se
ham tasavvur meñ vahī jaam liye phirte haiñ
tez bārish ho ki sardī ho yā garmī 'sājid'
ham to bas dāvat-e-islām liye phirte haiñ
tere diwane yahi kaam liye phirte hain
apne mahbub ka paigham liye phirte hain
tere aashiq tere gulfam liye phirte hain
apne honTon pe tera nam liye phirte hain
un ki taswir ki kya hum ko zarurat yaro
jin ko sine mein har ek sham liye phirte hain
apne hathon se pilaenge suna hai jab se
hum tasawwur mein wahi jam liye phirte hain
tez barish ho ki sardi ho ya garmi 'sajid'
hum to bas dawat-e-islam liye phirte hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.