tere dil mein base nahin the hum
tere dil meñ base nahīñ the ham
'ishq meñ kyā khare nahīñ the ham
kis tarah terī ḳhairiyat miltī
facebōk se juḌe nahīñ the ham
ḳhuub ro.e lipaT ke album se
tujh se to bolte nahīñ the ham
tū ne ḳhud hī diyā thā dil ham ko
paañv tere paḌe nahīñ the ham
jā ke vāpas bhī lauT sakte the
ġhair ke to hue nahīñ the ham
dard-e-ulfat huā thā ham ko bhī
sang ke to bane nahīñ the ham
aap jitnā hameñ samajhte the
us qadar bhī bure nahīñ the ham
tujh se milne kī dhun meñ 'iid ke din
aur kisī se mile nahīñ the ham
muddatoñ us ne luuTā qistoñ meñ
ek din meñ luTe nahīñ the ham
tere dil mein base nahin the hum
'ishq mein kya khare nahin the hum
kis tarah teri KHairiyat milti
facebook se juDe nahin the hum
KHub roe lipaT ke album se
tujh se to bolte nahin the hum
tu ne KHud hi diya tha dil hum ko
panw tere paDe nahin the hum
ja ke wapas bhi lauT sakte the
ghair ke to hue nahin the hum
dard-e-ulfat hua tha hum ko bhi
sang ke to bane nahin the hum
aap jitna hamein samajhte the
us qadar bhi bure nahin the hum
tujh se milne ki dhun mein 'id ke din
aur kisi se mile nahin the hum
muddaton us ne luTa qiston mein
ek din mein luTe nahin the hum
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.