tere dil mein KHud ko ek din bo dunga
tere dil meñ ḳhud ko ik din bo dūñgā
terī aañkh se ban kar sāvan niklūñgā
jaane kab se dhyān lagā.e baiThā huuñ
dastak hogī aur darvāza kholūñgā
ruḳhsat ke lamhe jo merā haal huā
vāpas aa.egā to us se kah dūñgā
mujh ko tum se pyaar nahīñ hai sach hai ye
aaj bhī us se jhuuT yahī maiñ bolūñgā
vahm hai merā yā to ek haqīqat hai
ab ke tujh ko haath lagā kar dekhūñgā
siikh rahā huuñ duniyā-dārī kuchh din se
ya.anī ab maiñ jhuuT bhī sachche bolūñgā
tanhā.ī meñ raat kahāñ par kaTtī hai
im-shab apnā pīchhā kar ke dekhūñgā
tere dil mein KHud ko ek din bo dunga
teri aankh se ban kar sawan niklunga
jaane kab se dhyan lagae baiTha hun
dastak hogi aur darwaza kholunga
ruKHsat ke lamhe jo mera haal hua
wapas aaega to us se kah dunga
mujh ko tum se pyar nahin hai sach hai ye
aaj bhi us se jhuT yahi main bolunga
wahm hai mera ya to ek haqiqat hai
ab ke tujh ko hath laga kar dekhunga
sikh raha hun duniya-dari kuchh din se
yani ab main jhuT bhi sachche bolunga
tanhai mein raat kahan par kaTti hai
im-shab apna pichha kar ke dekhunga
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.