tere dil se agar hum utar jaenge
tere dil se agar hum utar jaenge
Syed Wajih Ul Hassan Sherazi
MORE BYSyed Wajih Ul Hassan Sherazi
tere dil se agar ham utar jā.eñge
saañs ruk jā.egā ham to mar jā.eñge
yuuñ to ham ne kisī kī sunī hī nahīñ
tum kahoge to ham bhī sudhar jā.eñge
ye havas ke pujārī haiñ 'āshiq nahīñ
shab guzāreñge phir ye mukar jā.eñge
maiñ agar dil kī vaadī meñ rahne na duuñ
terī yādoñ ke lashkar kidhar jā.eñge
haath meñ itnī vahshat hai barbādī hai
jotshī haath dekheñge Dar jā.eñge
zindagī tere daftar se ik roz ham
lambī chhuTTī liye apne ghar jā.eñge
tere dil se agar hum utar jaenge
sans ruk jaega hum to mar jaenge
yun to hum ne kisi ki suni hi nahin
tum kahoge to hum bhi sudhar jaenge
ye hawas ke pujari hain 'ashiq nahin
shab guzarenge phir ye mukar jaenge
main agar dil ki wadi mein rahne na dun
teri yaadon ke lashkar kidhar jaenge
hath mein itni wahshat hai barbaadi hai
jotshi hath dekhenge Dar jaenge
zindagi tere daftar se ek roz hum
lambi chhuTTi liye apne ghar jaenge
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.