tere ehsas ke hisar mein hun
tere ehsās ke hisār meñ huuñ
kuchh dinoñ se ajab ḳhumār meñ huuñ
dil meñ ik raushnī sī phūTī hai
maiñ kisī chashm-e-iḳhtiyār meñ huuñ
kaash chamke nasīb kā taarā
baḌī muddat se intizār meñ huuñ
DhūñDhnā ḳhud ko ho gayā mushkil
gum kisī bahr-e-be-kanār meñ huuñ
biitā kal bhī hai merā sarmāya
go na.e ahd kī pukār meñ huuñ
ab to aa jaao mere shahzāde
qaid rasmoñ ke ḳhār-zār meñ huuñ
qarya-e-dard meñ bhaTaktī huuñ
sāya-e-naḳhl-e-intishār meñ huuñ
yahī kaafī hai bazm-e-hastī meñ
ai 'sadaf' maiñ kisī shumār meñ huuñ
tere ehsas ke hisar mein hun
kuchh dinon se ajab KHumar mein hun
dil mein ek raushni si phuTi hai
main kisi chashm-e-iKHtiyar mein hun
kash chamke nasib ka tara
baDi muddat se intizar mein hun
DhunDhna KHud ko ho gaya mushkil
gum kisi bahr-e-be-kanar mein hun
bita kal bhi hai mera sarmaya
go nae ahd ki pukar mein hun
ab to aa jao mere shahzade
qaid rasmon ke KHar-zar mein hun
qarya-e-dard mein bhaTakti hun
saya-e-naKHl-e-intishaar mein hun
yahi kafi hai bazm-e-hasti mein
ai 'sadaf' main kisi shumar mein hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.