tere hamrah bahut dur na jaana chahun
tere hamrāh bahut duur na jaanā chāhūñ
ḳhūb-sūrat sā bichhaḌne kā bahānā chāhūñ
koī chhitnār daraḳht aur lipaTtī beleñ
vahī manzar maiñ tujhe yaad dilānā chāhūñ
zarra-zarra tū sameTe hue phirtā hai mirā
maiñ ki is Dher meñ ḳhud aag lagānā chāhūñ
bojh mujh ko khulī dīvār kā sahnā hī na thā
ḳhud hī gir jā.ūñ jo ab bojh girānā chāhūñ
paar ho jaa.e ye dahlīz-e-vafā kī daldal
aisī ik jast 'musavvir' maiñ lagānā chāhūñ
tere hamrah bahut dur na jaana chahun
KHub-surat sa bichhaDne ka bahana chahun
koi chhitnar daraKHt aur lipaTti belen
wahi manzar main tujhe yaad dilana chahun
zarra-zarra tu sameTe hue phirta hai mera
main ki is Dher mein KHud aag lagana chahun
bojh mujh ko khuli diwar ka sahna hi na tha
KHud hi gir jaun jo ab bojh girana chahun
par ho jae ye dahliz-e-wafa ki daldal
aisi ek jast 'musawwir' main lagana chahun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.