tere hone ka yun iqrar kiya hai maine
tere hone kā yuuñ iqrār kiyā hai maiñ ne
chaḌhte sūraj ko namaskār kiyā hai maiñ ne
pattharoñ meñ thī maiñ patthar to baḌī 'izzat se
ḳhud meñ paidā ye qalam-kār kiyā hai maiñ ne
is ḳharābe meñ mirī hausla-mandī dekho
aa.ina aa.ina kirdār kiyā hai maiñ ne
kaun samjhegā bhalā mere ġhamoñ kī lazzat
ai ġhazal tujh ko hī ġham-ḳhvār kiyā hai maiñ ne
us ne sochā ki vo daulat se mujhe pā legā
merī jur.at thī ki inkār kiyā hai maiñ ne
aañkh bhar kar use jab dekh na maiñ paa.ī to
band āñkhoñ se hī dīdār kiyā hai maiñ ne
ye haqīqat nahīñ afsāna hai ai dīda-e-tar
yuuñ bhī manzar pas-e-dīvār kiyā hai maiñ ne
ruuh khiñchtī hai shab-o-roz ragoñ se merī
us pe ilzām ki bīmār kiyā hai maiñ ne
tere hone ka yun iqrar kiya hai main ne
chaDhte suraj ko namaskar kiya hai main ne
pattharon mein thi main patthar to baDi 'izzat se
KHud mein paida ye qalam-kar kiya hai main ne
is KHarabe mein meri hausla-mandi dekho
aaina aaina kirdar kiya hai main ne
kaun samjhega bhala mere ghamon ki lazzat
ai ghazal tujh ko hi gham-KHwar kiya hai main ne
us ne socha ki wo daulat se mujhe pa lega
meri jurat thi ki inkar kiya hai main ne
aankh bhar kar use jab dekh na main pai to
band aankhon se hi didar kiya hai main ne
ye haqiqat nahin afsana hai ai dida-e-tar
yun bhi manzar pas-e-diwar kiya hai main ne
ruh khinchti hai shab-o-roz ragon se meri
us pe ilzam ki bimar kiya hai main ne
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.