tere hone ki mere dil ko KHabar hoti hai
tere hone ki mere dil ko KHabar hoti hai
Prasad shadangule Betab
MORE BYPrasad shadangule Betab
tere hone kī mire dil ko ḳhabar hotī hai
ho jahāñ aap usī or nazar hotī hai
aap jab ghar se chaleñ to ye fazā.eñ mahkeñ
in havāoñ meñ terī koī lahar hotī hai
dekh kar ek jhalak un ko mukammal ho din
justujū roz yahī shām-o-sahar hotī hai
aap hī aap ḳhayāloñ meñ basā karte haiñ
ab kahāñ koī hameñ fikr-e-guzar hotī hai
ek ehsās-e-mohabbat se bane haiñ gulshan
zindagī us ke binā gard-e-safar hotī hai
kyā hai iz.hār ye iqrār kahāñ kā inkār
pyaar kī apnī hī ik rāhguzar hotī hai
tere hone ki mere dil ko KHabar hoti hai
ho jahan aap usi or nazar hoti hai
aap jab ghar se chalen to ye fazaen mahken
in hawaon mein teri koi lahar hoti hai
dekh kar ek jhalak un ko mukammal ho din
justuju roz yahi sham-o-sahar hoti hai
aap hi aap KHayalon mein basa karte hain
ab kahan koi hamein fikr-e-guzar hoti hai
ek ehsas-e-mohabbat se bane hain gulshan
zindagi us ke bina gard-e-safar hoti hai
kya hai izhaar ye iqrar kahan ka inkar
pyar ki apni hi ek rahguzar hoti hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.