tere honTon pe saja hai kya hai
tere hoñToñ pe sajā hai kyā hai
terā har rañg du'ā hai kyā hai
tere āñgan meñ luTā hai kyā hai
vo bhī bārish meñ khulā hai kyā hai
rañg chaḌhte haiñ utar jaate haiñ
mausam-e-hijr pata hai kyā hai
log alfāz badal lete haiñ
aur chehroñ pe likhā hai kyā hai
apnī barbād nigāhī ke sitam
ek dar aur khulā hai kyā hai
mere hāthoñ kī lakīroñ pe na jā
tū ne ḳhud hī to likhā hai kyā hai
ḳhud se miltā huuñ bichhaḌ jaatā huuñ
ḳhvāb zanjīr huā hai kyā hai
naddiyāñ ḳhushk huī jaatī haiñ
koī us paar khaḌā hai kyā hai
merī āñkhoñ se qayāmat barse
jo bhī kuchh tū ne diyā hai kyā hai
apne vaqtoñ kī zabāñ boltā huuñ
phir ye bāzār lagā hai kyā hai
merī bastī meñ udāsī kaisī
shahr kī samt chalā hai kyā hai
kitnī ḳhush-posh fazā hai 'ḳhurshīd'
terī āñkhoñ kā nasha hai kyā hai
tere honTon pe saja hai kya hai
tera har rang du'a hai kya hai
tere aangan mein luTa hai kya hai
wo bhi barish mein khula hai kya hai
rang chaDhte hain utar jate hain
mausam-e-hijr pata hai kya hai
log alfaz badal lete hain
aur chehron pe likha hai kya hai
apni barbaad nigahi ke sitam
ek dar aur khula hai kya hai
mere hathon ki lakiron pe na ja
tu ne KHud hi to likha hai kya hai
KHud se milta hun bichhaD jata hun
KHwab zanjir hua hai kya hai
naddiyan KHushk hui jati hain
koi us par khaDa hai kya hai
meri aankhon se qayamat barse
jo bhi kuchh tu ne diya hai kya hai
apne waqton ki zaban bolta hun
phir ye bazar laga hai kya hai
meri basti mein udasi kaisi
shahr ki samt chala hai kya hai
kitni KHush-posh faza hai 'KHurshid'
teri aankhon ka nasha hai kya hai
- Book : Harf hale (Pg. 105)
- Author : Aazam Khurshiid
- Publication : Lodhi Publishers
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.