tere KHayal ki KHushbu se hum dil mahkae phirte hain
tere ḳhayāl kī ḳhushbū se ham dil mahkā.e phirte haiñ
ham dīvāne yādoñ kī bārāt sajā.e phirte haiñ
kis ne dekhā kis ne pūchhā aa kar haal faqīroñ kā
kal tak aañkh milāne vaale aañkh churā.e phirte haiñ
vaqt kā dhārā vaqt kā tūfāñ maiñ ne dekhā tū bhī dekh
kal ke raaja rank bane jholī phailā.e phirte haiñ
kapTī dil ne duniyā-bhar meñ chhal kī aag lagā.ī hai
hirs ke bande ḳhvāboñ ke bāzār sajā.e phirte haiñ
ek se aañsū ek sī aa.heñ kaun hai raaja kaun faqīr
ham to apne dil ko ab tak ye samjhā.e phirte haiñ
ġham kī bhiik mile to kaise ġham haiñ kam ġham-ḳhvār bahut
ik muddat se baat ye apne dil meñ chhupā.e phirte haiñ
aah laboñ par ashk āñkhoñ meñ ye apnā sarmāya hai
roz-e-azal se ham to use siine se lagā.e phirte haiñ
tere KHayal ki KHushbu se hum dil mahkae phirte hain
hum diwane yaadon ki baraat sajae phirte hain
kis ne dekha kis ne puchha aa kar haal faqiron ka
kal tak aankh milane wale aankh churae phirte hain
waqt ka dhaara waqt ka tufan main ne dekha tu bhi dekh
kal ke raja rank bane jholi phailae phirte hain
kapTi dil ne duniya-bhar mein chhal ki aag lagai hai
hirs ke bande KHwabon ke bazar sajae phirte hain
ek se aansu ek si aahen kaun hai raja kaun faqir
hum to apne dil ko ab tak ye samjhae phirte hain
gham ki bhik mile to kaise gham hain kam gham-KHwar bahut
ek muddat se baat ye apne dil mein chhupae phirte hain
aah labon par ashk aankhon mein ye apna sarmaya hai
roz-e-azal se hum to use sine se lagae phirte hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.