tere KHayal se yun sajai tamam raat
tere ḳhayāl se yuuñ sajā.ī tamām raat
ik but ko dekhne meñ bitā.ī tamām raat
vo ajnabī thā sub.h ye mālūm ho gayā
tasvīr jis kī ham ne banā.ī tamām raat
jaane maiñ kis qafas ke ḳhayāloñ meñ qaid thā
dīvār apne ghar kī jalā.ī tamām raat
zinda rahegā josh gulāboñ meñ is liye
ik dastān-e-sham.a sunā.ī tamām raat
ham muskurā ke sab se savere mile magar
siine meñ ham ne kaise chhupā.ī tamām raat
tere ḳhayāl-o-ḳhvāb meñ aate magar kabhī
detī nahīñ hai ham ko rihā.ī tamām raat
sannāTā is qadar thā ki har shāḳh har kalī
jhuk jhuk ke māñgtī thī duhā.ī tamām raat
'rāsiḳh' havā ne shāḳh se patte girā diye
aur yaad sab kahānī dilā.ī tamām raat
tere KHayal se yun sajai tamam raat
ek but ko dekhne mein bitai tamam raat
wo ajnabi tha subh ye malum ho gaya
taswir jis ki hum ne banai tamam raat
jaane main kis qafas ke KHayalon mein qaid tha
diwar apne ghar ki jalai tamam raat
zinda rahega josh gulabon mein is liye
ek dastan-e-shama sunai tamam raat
hum muskura ke sab se sawere mile magar
sine mein hum ne kaise chhupai tamam raat
tere KHayal-o-KHwab mein aate magar kabhi
deti nahin hai hum ko rihai tamam raat
sannaTa is qadar tha ki har shaKH har kali
jhuk jhuk ke mangti thi duhai tamam raat
'rasiKH' hawa ne shaKH se patte gira diye
aur yaad sab kahani dilai tamam raat
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.