tere kuche se na ye sheftagan jate hain
tere kūche se na ye sheftagāñ jaate haiñ
jhuuT kahte haiñ ki jaate haiñ kahāñ jaate haiñ
āmad-o-raft na pūchh apnī galī kī ham se
aate haiñ hañste hue karte fuġhāñ jaate haiñ
ka.aba o dair meñ dekhe haiñ usī kā jalva
kufr o islām meñ kab dīda-varāñ jaate haiñ
nahīñ maqdūr ki pahuñche koī us tak par ham
juuñ nigah dīda-e-mardum se nihāñ jaate haiñ
gar hai dīdār-talab saaf kar apne dil ko
rū-ba-rū us ke to ā.īna-dilāñ jaate haiñ
jazb terā hī agar khīñche to pahuñcheñ varna
tujh ko sunte haiñ pare vaañ se jahāñ jaate haiñ
aah kartā hai ḳharāsh un kā diloñ meñ naala
kaun ye qāfile meñ nāla-zanāñ jaate haiñ
jī meñ hai kahiye ġhazal aur muqābil us ke
guhar is bahar meñ mazmūñ ke ravāñ jaate haiñ
tujh ko 'bedār' rakhā pīchhe girāñ-bārī ne
rāh-rau jo haiñ subuksār davāñ jaate haiñ
tere kuche se na ye sheftagan jate hain
jhuT kahte hain ki jate hain kahan jate hain
aamad-o-raft na puchh apni gali ki hum se
aate hain hanste hue karte fughan jate hain
kaba o dair mein dekhe hain usi ka jalwa
kufr o islam mein kab dida-waran jate hain
nahin maqdur ki pahunche koi us tak par hum
jun nigah dida-e-mardum se nihan jate hain
gar hai didar-talab saf kar apne dil ko
ru-ba-ru us ke to aaina-dilan jate hain
jazb tera hi agar khinche to pahunchen warna
tujh ko sunte hain pare wan se jahan jate hain
aah karta hai KHarash un ka dilon mein nala
kaun ye qafile mein nala-zanan jate hain
ji mein hai kahiye ghazal aur muqabil us ke
guhar is bahar mein mazmun ke rawan jate hain
tujh ko 'bedar' rakha pichhe giran-bari ne
rah-rau jo hain subuksar dawan jate hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.