tere kya apne bhi kuchh kaam na aae hum log
tere kyā apne bhī kuchh kaam na aa.e ham log
kuchh na kuchh tū ne banānā thā banā.e ham log
kohsāroñ pe qadam rakh ke ye phal toḌā hai
ijz miTTī se uThā kar nahīñ laa.e ham log
phir palaT ā.eñge tasbīh ke dānoñ kī tarah
dast-e-duniyā tirī poroñ se girā.e ham log
khīñch kar laa.e haiñ dar se tire mujrim kī tarah
dil ko bātoñ meñ lagā kar nahīñ laa.e ham log
bā.is-e-sharm hai ai dost numūd-e-girya
poñchh kar ashk tire ḳhvāb meñ aa.e ham log
tere kya apne bhi kuchh kaam na aae hum log
kuchh na kuchh tu ne banana tha banae hum log
kohsaron pe qadam rakh ke ye phal toDa hai
ijz miTTi se uTha kar nahin lae hum log
phir palaT aaenge tasbih ke danon ki tarah
dast-e-duniya teri poron se girae hum log
khinch kar lae hain dar se tere mujrim ki tarah
dil ko baaton mein laga kar nahin lae hum log
bais-e-sharm hai ai dost numud-e-girya
ponchh kar ashk tere KHwab mein aae hum log
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.