tere lahje mein ye jo shiddat hai
tere lahje meñ ye jo shiddat hai
ye koī an-kahī shikāyat hai
hijr ke dukh pe yaar hairat kyā
mustaqil vasl bhī aziyyat hai
tujh ko ab bhūlne lagā huuñ maiñ
ye shikāyat nahīñ hai tohmat hai
ḳhushbuoñ se banā.eñge tum ko
rañg se to baḌī suhūlat hai
dekhā jaa.e to mar chuke haiñ ham
saañs lenā to bas zarūrat hai
tū mirā hai to mere dard samajh
muskurānā to merī aadat hai
kyā kiyā dard kī davā le lī
mere bīmār tujh pe la.anat hai
maiñ bas us vaqt apne paas rahā
jab lagā aap kī zarūrat hai
tere lab haa.e tere shīrīñ lab
bosa le luuñ agar ijāzat hai
tere lahje mein ye jo shiddat hai
ye koi an-kahi shikayat hai
hijr ke dukh pe yar hairat kya
mustaqil wasl bhi aziyyat hai
tujh ko ab bhulne laga hun main
ye shikayat nahin hai tohmat hai
KHushbuon se banaenge tum ko
rang se to baDi suhulat hai
dekha jae to mar chuke hain hum
sans lena to bas zarurat hai
tu mera hai to mere dard samajh
muskurana to meri aadat hai
kya kiya dard ki dawa le li
mere bimar tujh pe lanat hai
main bas us waqt apne pas raha
jab laga aap ki zarurat hai
tere lab hae tere shirin lab
bosa le lun agar ijazat hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.