tere liye kisi se baghawat na kar saka
tere liye kisī se baġhāvat na kar sakā
shāyad maiñ tujh se itnī mohabbat na kar sakā
majbūr thā maiñ is qadar apne mizāj se
kuchh bhī ḳhilāf-e-ādat-o-fitrat na kar sakā
haq baat par to kar liyā dushman se ittifāq
nā-haq maiñ dostoñ kī himāyat na kar sakā
vo kaam kar dikhāyā hai mere junūn ne
jo kaam terā zo'm-e-liyāqat na kar sakā
izzat karegā kyā vo kisī ke vajūd kī
jo shaḳhs apne aap kī izzat na kar sakā
lipTī huī zamīñ thī nigāhoñ kī paañv se
'sālim' tamām umr maiñ hijrat na kar sakā
tere liye kisi se baghawat na kar saka
shayad main tujh se itni mohabbat na kar saka
majbur tha main is qadar apne mizaj se
kuchh bhi KHilaf-e-adat-o-fitrat na kar saka
haq baat par to kar liya dushman se ittifaq
na-haq main doston ki himayat na kar saka
wo kaam kar dikhaya hai mere junun ne
jo kaam tera zo'm-e-liyaqat na kar saka
izzat karega kya wo kisi ke wajud ki
jo shaKHs apne aap ki izzat na kar saka
lipTi hui zamin thi nigahon ki panw se
'salim' tamam umr main hijrat na kar saka
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.