tere maiKHane ka ye bhi ajab dastur hai saqi
tere maiḳhāne kā ye bhī ajab dastūr hai saaqī
koī tishna-dahan mastī meñ koī chuur hai saaqī
diloñ ke rabt-e-paiham ko ḳhudā qaa.em rakhe hamdam
na maiñ huuñ duur saaqī se na mujh se duur hai saaqī
bahal jaa.e jahāñ dil hai vahī jannat haqīqat meñ
jo dil insān kā le le vo insāñ huur hai saaqī
na le muḳhtāriyoñ se kaam tū us ke muqābil meñ
tere mai-kash ke siine meñ dil-e-majbūr hai saaqī
mirī ḳhuddāriyāñ bad-kaifiyoñ se dab nahīñ saktīñ
agarche shīsha-e-dil apnā chaknā-chūr hai saaqī
tirī jaadū bharī āñkhoñ ne aisī mai pilā.ī hai
hamārī zindagī kī zindagī maḳhmūr hai saaqī
Thikāna hī nahīñ koī mire armān-e-mastī kā
na ye mahdūd hai saaqī na vo mahsūr hai saaqī
jahāñ hājat na mai kī hai na shīshe kī na sāġhar kī
abhī vo manzil-e-hastī nihāyat duur hai saaqī
ināyat se pilā de rind-e-ḳhud-atvār 'akmal' ko
tirī dariyā-dilī kaunain meñ mash.hūr hai saaqī
tere maiKHane ka ye bhi ajab dastur hai saqi
koi tishna-dahan masti mein koi chur hai saqi
dilon ke rabt-e-paiham ko KHuda qaem rakhe hamdam
na main hun dur saqi se na mujh se dur hai saqi
bahal jae jahan dil hai wahi jannat haqiqat mein
jo dil insan ka le le wo insan hur hai saqi
na le muKHtariyon se kaam tu us ke muqabil mein
tere mai-kash ke sine mein dil-e-majbur hai saqi
meri KHuddariyan bad-kaifiyon se dab nahin saktin
agarche shisha-e-dil apna chakna-chur hai saqi
teri jadu bhari aankhon ne aisi mai pilai hai
hamari zindagi ki zindagi maKHmur hai saqi
Thikana hi nahin koi mere arman-e-masti ka
na ye mahdud hai saqi na wo mahsur hai saqi
jahan hajat na mai ki hai na shishe ki na saghar ki
abhi wo manzil-e-hasti nihayat dur hai saqi
inayat se pila de rind-e-KHud-atwar 'akmal' ko
teri dariya-dili kaunain mein mashhur hai saqi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.