tere majnun ko aabaadi se virane se kya matlab
tere majnūñ ko ābādī se vīrāne se kyā matlab
tire jalvoñ se matlab ā.ina-ḳhāne se kyā matlab
ilāhī ishq ke bandoñ ko tarsāne se kyā matlab
hayāt-e-jāvidāñ baḳhshī to mar jaane se kyā matlab
tirī ulfat ke behoshoñ ko hosh aane se kyā matlab
tire dīdār ke mastoñ ko maiḳhāne se kyā matlab
jab aa.e zab.h karne phir taras khāne se kyā matlab
gale par jab rakhā ḳhanjar to ruk jaane se kyā matlab
paḌā rahne do be-gor-o-kafan qātil ke kūche meñ
shahīdoñ kī haiñ lāsheñ un ko dafnāne se kyā matlab
ḳhushī se de diyā jab dil to phir is kā hai kyā shikva
magar ye pūchhtā huuñ dil churā laane se kyā matlab
taḌapte rahte haiñ din-rāt zikr-o-fikr-e-ulfat meñ
tirī ḳhvāhish meñ dīvānoñ ko so jaane se kyā matlab
maraz baḌhtā hai furqat meñ ilāj-o-fikr-e-darmāñ se
jo bīmār-e-mohabbat haiñ davā khāne se kyā matlab
zamāna jāntā hai ishq meñ jo kuchh musībat hai
phir ifshā raaz kar ke dam nikal jaane se kyā matlab
urūj-e-bā-kamālī hai zavāl-e-be-kamālī hai
shahīd-e-nāz kī mayyat ko dafnāne se kyā matlab
jahāñ bhī tū nazar aaya vahīñ sajda kiyā fauran
tire tālib ko ka.abe aur but-ḳhāne se kyā matlab
tire jalve nazar aate haiñ jab duniyā-e-fānī meñ
tire shaidā ko duniyā chhoḌ ke jaane se kyā matlab
'umar' har-vaqt un se vasl rahtā hai ḳhayāloñ meñ
unheñ aane se kyā matlab hameñ jaane se kyā matlab
tere majnun ko aabaadi se virane se kya matlab
tere jalwon se matlab aaina-KHane se kya matlab
ilahi ishq ke bandon ko tarsane se kya matlab
hayat-e-jawidan baKHshi to mar jaane se kya matlab
teri ulfat ke behoshon ko hosh aane se kya matlab
tere didar ke maston ko maiKHane se kya matlab
jab aae zabh karne phir taras khane se kya matlab
gale par jab rakha KHanjar to ruk jaane se kya matlab
paDa rahne do be-gor-o-kafan qatil ke kuche mein
shahidon ki hain lashen un ko dafnane se kya matlab
KHushi se de diya jab dil to phir is ka hai kya shikwa
magar ye puchhta hun dil chura lane se kya matlab
taDapte rahte hain din-raat zikr-o-fikr-e-ulfat mein
teri KHwahish mein diwanon ko so jaane se kya matlab
maraz baDhta hai furqat mein ilaj-o-fikr-e-darman se
jo bimar-e-mohabbat hain dawa khane se kya matlab
zamana jaanta hai ishq mein jo kuchh musibat hai
phir ifsha raaz kar ke dam nikal jaane se kya matlab
uruj-e-ba-kamali hai zawal-e-be-kamali hai
shahid-e-naz ki mayyat ko dafnane se kya matlab
jahan bhi tu nazar aaya wahin sajda kiya fauran
tere talib ko kabe aur but-KHane se kya matlab
tere jalwe nazar aate hain jab duniya-e-fani mein
tere shaida ko duniya chhoD ke jaane se kya matlab
'umar' har-waqt un se wasl rahta hai KHayalon mein
unhen aane se kya matlab hamein jaane se kya matlab
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.