tere mere khichao ki aawaz
tere mere khichāo kī āvāz
ik ghuTan kī dabāo kī āvāz
merī āñkhoñ ke ḳhushk sahrā meñ
hai musalsal bahāo kī āvāz
mujh ko aatī hai mere bistar se
eḌiyoñ ke ghisāv kī āvāz
aap māneñ ki mustarad kar deñ
hotī hai hāv-bhāv kī āvāz
kitnī mahsūs hotī hai mujh ko
hijr tere kasāo kī āvāz
roz suntā huuñ ġhaur kartā huuñ
'umr tere ghaTāo kī āvāz
mujh ko aatī hai mere zaḳhmoñ se
marhamoñ ke haTāo kī āvāz
maiñ ne āñkhoñ se ḳhud sunī us ke
thī ishāre meñ jaao kī āvāz
tere mere khichao ki aawaz
ek ghuTan ki dabao ki aawaz
meri aankhon ke KHushk sahra mein
hai musalsal bahao ki aawaz
mujh ko aati hai mere bistar se
eDiyon ke ghisaw ki aawaz
aap manen ki mustarad kar den
hoti hai haw-bhaw ki aawaz
kitni mahsus hoti hai mujh ko
hijr tere kasao ki aawaz
roz sunta hun ghaur karta hun
'umr tere ghaTao ki aawaz
mujh ko aati hai mere zaKHmon se
marhamon ke haTao ki aawaz
main ne aankhon se KHud suni us ke
thi ishaare mein jao ki aawaz
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.