tere paikar si koi murat bana li jaegi
tere paikar sī koī mūrat banā lī jā.egī
dil ke bahlāne kī ye sūrat nikālī jā.egī
kaun kah saktā thā ye qaus-e-quzah ko dekh kar
ek hī āñchal meñ ye rangat samā lī jā.egī
kāġhzī phūloñ se jab mānūs hoñgī titliyāñ
āshiqī kī rasm duniyā se uThā lī jā.egī
aa.ine meñ baal paḌ jaa.e to jā saktā nahīñ
ret kī dīvār to phir se banā lī jā.egī
ham jo kār-e-āzarī meñ be-hunar Thahre to kyā
un kī sūrat sher ke qālib meñ Dhālī jā.egī
ḳhud-parastī ke nashe meñ jin ko hai zo.am-e-jamāl
aa.ina dekheñ to un kī ḳhush-ḳhayālī jā.egī
ishq kī fitrat meñ hai parvān hī chaḌhnā 'ra.īs'
husn vo daulat nahīñ jo phir kamā lī jā.egī
tere paikar si koi murat bana li jaegi
dil ke bahlane ki ye surat nikali jaegi
kaun kah sakta tha ye qaus-e-quzah ko dekh kar
ek hi aanchal mein ye rangat sama li jaegi
kaghzi phulon se jab manus hongi titliyan
aashiqi ki rasm duniya se uTha li jaegi
aaine mein baal paD jae to ja sakta nahin
ret ki diwar to phir se bana li jaegi
hum jo kar-e-azari mein be-hunar Thahre to kya
un ki surat sher ke qalib mein Dhaali jaegi
KHud-parasti ke nashe mein jin ko hai zoam-e-jamal
aaina dekhen to un ki KHush-KHayali jaegi
ishq ki fitrat mein hai parwan hi chaDhna 'rais'
husn wo daulat nahin jo phir kama li jaegi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.