tere pyason ko saza di gai hai
tere pyāsoñ ko sazā dī ga.ī hai
tishnagī aur baḌhā dī ga.ī hai
us ke aane kī ḳhabar aate hī
shahr ko aag lagā dī ga.ī hai
qaid hone kī duā māñgī thī
merī zanjīr haTā dī ga.ī hai
tum mujhe dekhne se qāsir the
raushnī aur baḌhā dī ga.ī hai
ek panchhī ko kisī piñjre meñ
uḌte rahne kī duā dī ga.ī hai
ḳhud-kushī ke to nishāñ baaqī nahīñ
ret sāhil se haTā dī ga.ī hai
maiñ to sajde meñ paḌā thā lekin
mujh pe talvār girā dī ga.ī hai
tere pyason ko saza di gai hai
tishnagi aur baDha di gai hai
us ke aane ki KHabar aate hi
shahr ko aag laga di gai hai
qaid hone ki dua mangi thi
meri zanjir haTa di gai hai
tum mujhe dekhne se qasir the
raushni aur baDha di gai hai
ek panchhi ko kisi pinjre mein
uDte rahne ki dua di gai hai
KHud-kushi ke to nishan baqi nahin
ret sahil se haTa di gai hai
main to sajde mein paDa tha lekin
mujh pe talwar gira di gai hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.