tere sanche mein Dhala tera hi saya hua main
tere sāñche meñ Dhalā terā hī saayā huā maiñ
dekhte dekhte ḳhud se hī parāyā huā maiñ
yaad hai ab bhī mire lams se pighlī huī tū
aur tire sāñsoñ kī ḳhushbū meñ nahāyā huā maiñ
chaak terā hai tirī miTTī tirī kūza-garī
jo bhī huuñ jaisā bhī huuñ terā banāyā huā maiñ
rāh-e-ulfat meñ ye shohrat hai kahāñ sab ko nasīb
ek majnūñ thā jo mash.hūr huā yā huā maiñ
DhūñDh hī letā huuñ dukh meñ bhī ġhazal ke mauzūa
terī furqat kā tire ġham kā satāyā huā maiñ
sab ke hoñToñ pe haiñ ġhazleñ jo tire naam likhīñ
ik tire naam se huuñ bazm meñ chhāyā huā maiñ
tere sanche mein Dhala tera hi saya hua main
dekhte dekhte KHud se hi paraya hua main
yaad hai ab bhi mere lams se pighli hui tu
aur tere sanson ki KHushbu mein nahaya hua main
chaak tera hai teri miTTi teri kuza-gari
jo bhi hun jaisa bhi hun tera banaya hua main
rah-e-ulfat mein ye shohrat hai kahan sab ko nasib
ek majnun tha jo mashhur hua ya hua main
DhunDh hi leta hun dukh mein bhi ghazal ke mauzua
teri furqat ka tere gham ka sataya hua main
sab ke honTon pe hain ghazlen jo tere nam likhin
ek tere nam se hun bazm mein chhaya hua main
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.