teri aankhon mein jhilmilaun kahin
terī āñkhoñ meñ jhilmilā.ūñ kahīñ
saath rah kar nazar na aa.uuñ kahīñ
aur mat fāsle baḌhā mujh se
maiñ tujhe bhuul hī na jā.ūñ kahīñ
jaane kis moḌ par zarūrat ho
aa bhī jaanā jo maiñ bulā.ūñ kahīñ
tū bhī merī tarah mujhe DhūñDhe
maiñ bhī terī tarah na jā.ūñ kahīñ
aap kā dil bahut kushāda hai
maiñ bhī is dil meñ ghar banā.ūñ kahīñ
mere zaḳhmoñ ko phir kured zarā
maiñ tirā ġham na bhuul jā.ūñ kahīñ
teri aankhon mein jhilmilaun kahin
sath rah kar nazar na aaun kahin
aur mat fasle baDha mujh se
main tujhe bhul hi na jaun kahin
jaane kis moD par zarurat ho
aa bhi jaana jo main bulaun kahin
tu bhi meri tarah mujhe DhunDhe
main bhi teri tarah na jaun kahin
aap ka dil bahut kushada hai
main bhi is dil mein ghar banaun kahin
mere zaKHmon ko phir kured zara
main tera gham na bhul jaun kahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.