teri bazm-e-tarab ki sarKHushi kuchh aur kahti hai
terī bazm-e-tarab kī sarḳhushī kuchh aur kahtī hai
mire māhaul kī sanjīdgī kuchh aur kahtī hai
fazā-e-shām-e-mai-ḳhāna abhī kuchh aur kahtī hai
hamārī shiddat-e-tishna-labī kuchh aur kahtī hai
farozāñ to hai bām-e-zindagī fan ke charāġhoñ se
magar ahd-e-hunar kī raushnī kuchh aur kahtī hai
tumhārī chāk-dāmānī ba-fasl-e-gul bajā yaaro
mazāq-e-ishq kī shā.istagī kuchh aur kahtī hai
taqāzā hai tumhārī ḳhastagī kā tum Thahar jaao
hamārī ābla-pā.ī abhī kuchh aur kahtī hai
lahū rote hue go umr guzrī hai mohabbat meñ
magar qisse kī rañgīnī abhī kuchh aur kahtī hai
adā-e-shoḳh jin āñkhoñ meñ hotī thī takallum kī
ab un āñkhoñ kī gahrī ḳhāmushī kuchh aur kahtī hai
bajā hai parda-dārī-e-shikast-e-ārzū 'nāzim'
tire lab kī magar phīkī hañsī kuchh aur kahtī hai
teri bazm-e-tarab ki sarKHushi kuchh aur kahti hai
mere mahaul ki sanjidgi kuchh aur kahti hai
faza-e-sham-e-mai-KHana abhi kuchh aur kahti hai
hamari shiddat-e-tishna-labi kuchh aur kahti hai
farozan to hai baam-e-zindagi fan ke charaghon se
magar ahd-e-hunar ki raushni kuchh aur kahti hai
tumhaari chaak-damani ba-fasl-e-gul baja yaro
mazaq-e-ishq ki shaistagi kuchh aur kahti hai
taqaza hai tumhaari KHastagi ka tum Thahar jao
hamari aabla-pai abhi kuchh aur kahti hai
lahu rote hue go umr guzri hai mohabbat mein
magar qisse ki rangini abhi kuchh aur kahti hai
ada-e-shoKH jin aankhon mein hoti thi takallum ki
ab un aankhon ki gahri KHamushi kuchh aur kahti hai
baja hai parda-dari-e-shikast-e-arzu 'nazim'
tere lab ki magar phiki hansi kuchh aur kahti hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.