Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

teri chahat mein kami kaise gawara kar len

Muhammad Rashid Athar

teri chahat mein kami kaise gawara kar len

Muhammad Rashid Athar

MORE BYMuhammad Rashid Athar

    terī chāhat meñ kamī kaise gavārā kar leñ

    ishq rozī to nahīñ hai ki guzārā kar leñ

    manfa.at chāhe to ulfat ko tijārat na banā

    jānte būjhte ham kaise ḳhasārā kar leñ

    havāoñ ke jhapTTe meñ na aayā ho kahīñ

    do ghaḌī Thahar terā bhī utārā kar leñ

    tere va.adoñ pe yaqīñ ho to usī aas se ham

    jism ko raakh kareñ ruuh ko paara kar leñ

    ġhair se bhī vo muḳhātab haiñ to ummīd hai

    baat ham se na sahī zikr hamārā kar leñ

    kaise bardāsht kareñ ġhair tujh par tanqīd

    ḳhud bhī shākī hoñ to ḳhud se bhī kinārā kar leñ

    ham se ġhāfil nahīñ rahte kabhī tūfāñ ki kahīñ

    Dūbte Dūbte tinke ko sahārā kar leñ

    huī matrūk-e-vafā aam huī bul-havasī

    aql kahtī hai ki ham bhī koī chāra kar leñ

    teri chahat mein kami kaise gawara kar len

    ishq rozi to nahin hai ki guzara kar len

    manfat chahe to ulfat ko tijarat na bana

    jaante bujhte hum kaise KHasara kar len

    tu hawaon ke jhapTTe mein na aaya ho kahin

    do ghaDi Thahar ja tera bhi utara kar len

    tere wadon pe yaqin ho to usi aas se hum

    jism ko rakh karen ruh ko para kar len

    ghair se bhi wo muKHatab hain to ummid si hai

    baat hum se na sahi zikr hamara kar len

    kaise bardasht karen ghair ki tujh par tanqid

    KHud bhi shaki hon to KHud se bhi kinara kar len

    hum se ghafil nahin rahte kabhi tufan ki kahin

    Dubte Dubte tinke ko sahaara kar len

    hui matruk-e-wafa aam hui bul-hawasi

    aql kahti hai ki hum bhi koi chaara kar len

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Rekhta Gujarati Utsav I Vadodara - 5th Jan 25 I Mumbai - 11th Jan 25 I Bhavnagar - 19th Jan 25

    Register for free
    Speak Now