teri chahat mein mar ke dekhunga
terī chāhat meñ mar ke dekhūñgā
kaam ye bhī maiñ kar ke dekhūñgā
chhīn saktā hai kaun mujh se tujhe
jaañ hathelī pe dhar ke dekhūñgā
ġhair mumkin hai chāñd ko laanā
phir bhī koshish maiñ kar ke dekhūñgā
terī āñkhoñ meñ ḳhud ko pā.ūñgā
ruḳh pe tere sañvar ke dekhūñgā
rakh ke āñkhoñ meñ hijr ko tere
phir tasavvur meñ Dar ke dekhūñgā
ban ke 'tāhir' maiñ pyaar kī ḳhushbū
gird tere bikhar ke dekhūñgā
teri chahat mein mar ke dekhunga
kaam ye bhi main kar ke dekhunga
chhin sakta hai kaun mujh se tujhe
jaan hatheli pe dhar ke dekhunga
ghair mumkin hai chand ko lana
phir bhi koshish main kar ke dekhunga
teri aankhon mein KHud ko paunga
ruKH pe tere sanwar ke dekhunga
rakh ke aankhon mein hijr ko tere
phir tasawwur mein Dar ke dekhunga
ban ke 'tahir' main pyar ki KHushbu
gird tere bikhar ke dekhunga
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.