teri dahliz par isko muqaddas moatabar jaana
terī dahlīz par is ko muqaddas mo'atabar jaanā
magar jab aa.e maidāñ meñ to kab phir sar ko sar jaanā
yahī andāz to ahsan ko asfal karne vaalā hai
faqat khānā kamānā aish karnā aur mar jaanā
haqīqī ishq thā jis ne rakhā tārīḳh meñ zinda
kisī kā do pahāḌoñ par idhar jaanā udhar jaanā
tumhārī muntazir rahtī haiñ būḌhī shāḳheñ shiddat se
parinde der se mat shaam ko sū-e-shajar jaanā
mohabbat karne vāloñ ke bhī kyā andāz hote haiñ
kabhī āñdhī se laḌ jaanā kabhī aahaT se Dar jaanā
vahāñ bachchoñ ke chehre dekh kar kuchh yaad aa.egā
hamāre ghar jalā kar tum ko bhī hai apne ghar jaanā
paḌho pahle 'nabīl' ik umr phir thāmo qalam apnā
zarūrī hai chhalakne ke liye andar se bhar jaanā
teri dahliz par is ko muqaddas mo'atabar jaana
magar jab aae maidan mein to kab phir sar ko sar jaana
yahi andaz to ahsan ko asfal karne wala hai
faqat khana kamana aish karna aur mar jaana
haqiqi ishq tha jis ne rakha tariKH mein zinda
kisi ka do pahaDon par idhar jaana udhar jaana
tumhaari muntazir rahti hain buDhi shaKHen shiddat se
parinde der se mat sham ko su-e-shajar jaana
mohabbat karne walon ke bhi kya andaz hote hain
kabhi aandhi se laD jaana kabhi aahaT se Dar jaana
wahan bachchon ke chehre dekh kar kuchh yaad aaega
hamare ghar jala kar tum ko bhi hai apne ghar jaana
paDho pahle 'nabil' ek umr phir thamo qalam apna
zaruri hai chhalakne ke liye andar se bhar jaana
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.