teri duniya mein nahin rahta tha
terī duniyā meñ nahīñ rahtā thā
phir bhī maiñ tujh meñ kahīñ rahtā thā
tujh ko ākāsh banātā thā maiñ
aur maiñ ban ke zamīñ rahtā thā
chāñd taare the tirī zulfoñ meñ
maiñ bhī bādal sā vahīñ rahtā thā
ye jo vīrān sī āñkheñ haiñ tirī
maiñ bahut pahle yahīñ rahtā thā
'ishq thā sajde meñ to dil hī nahīñ
zehn bhī zer-e-jabīñ rahtā thā
kitne mazbūt the nāzuk rishte
jab mohabbat meñ yaqīñ rahtā thā
jab koī aañkh na thī duniyā meñ
tab bhī vo parda-nashīñ rahtā thā
us se ik baar gale mil ke 'shakīl'
maiñ ka.ī roz hasīñ rahtā thā
teri duniya mein nahin rahta tha
phir bhi main tujh mein kahin rahta tha
tujh ko aakash banata tha main
aur main ban ke zamin rahta tha
chand tare the teri zulfon mein
main bhi baadal sa wahin rahta tha
ye jo viran si aankhen hain teri
main bahut pahle yahin rahta tha
'ishq tha sajde mein to dil hi nahin
zehn bhi zer-e-jabin rahta tha
kitne mazbut the nazuk rishte
jab mohabbat mein yaqin rahta tha
jab koi aankh na thi duniya mein
tab bhi wo parda-nashin rahta tha
us se ek bar gale mil ke 'shakil'
main kai roz hasin rahta tha
- Book : Dil Parinda Hai (Pg. 57)
- Author : Shakeel Azmi
- Publication : Rekhta Publications (2023)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.